Thursday, April 26, 2012

Kunal Chopra's diary - 26th April 2012 - Yeh waqt yahi tham jaye

Kunal Chopra's diary 26th April, 2012- Is raat ki subah na ho
  
zindagi hi itni khoobsurat ho chali thi ki khwabon ke liye koi jagah hi nahi thi
pata nahi band aankhon se zindagi jee raha hoon
ya khuli aankhon se khwab dekh raha hoon
kya aisa ho sakta hai, ki insaan apne haaton mein waqt ko kaid kar le
saanse to chalti rahe magar waqt tham jaye
zindagi to chalti rahe magar waqt kuch der ruk jaye
abhi abhi yeh lamhe khushiya le kar aye hai
inhe kaise beet jane doon
in khushiyon ko jee bhar kar jee to loon
is chehre ko apni aankhon mein sama to lo
shayad tumhare kehne se yeh waqt kuch palon ke liye tham jaye
Just to add my running commentary in the middle
Tumne papa se jo kaha acha laga, - perfectly enacted scene, every nuance, the movement/acknowledgement with the face nodding and eyes, beautiful. Constantly holding her hand, providing her assurance and somewhere having the comfort feeling of having her around and close to her.
Main ek hi cheez de sakta hoon
Here is a man who is or was shown to be so akdu, and had ego and what not everyone said, but this scene showed his soft side very well. He acknowledged that that is the only way to repay if that is the word, or return her love.
Khamoshi
Cant say that this khamoshi scene was too long like the previous ones, but it was nice to have some silent portions
Kabhi khamoshi ko sunne ki koshish kari hai
Bahut kuch kehti hai yeh khamoshi
Kabhi kabhi jo baatein shabd nahi keh pate woh khamoshi keh deti hai
Jo baatein adhuri reh jati hai, woh khamoshi bayan kar deti hai
Bina kuch kahe, bina kuch sune hi khamoshi sab keh deti hai
Kabhi kisi saath yu baith kar apne ane wale kal ki kalpana kari hai
Kabhi un wale ane wale palon ko jeeya hai
Khamoshi kar sakti hai
Siddhi's thoughts-
Us akdu aur khadoos kunal ke piche ek aisa chehra bhi hai?
Jo kabhi chahta hai yeh raat kabhi khatam hi na ho
aur kabhi chahta hai ki samay pankh laga kar ud jaye aur hum un wale khushiyon ko jee le
Jisne kabhi sapne dekhne hi chod diye tha
ab uski aankhon mein har pal ek naya khwab chamakta rehta hai
Jo muskurana hi bhul gaya tha
aur ab shayad akele mein bhi muskurata rehta hai#
Jo  zindagi se bhag raha tha
aur ab zindagi ko kaid kar lena chahta hai.
Who says I always do what I say, just one day and I have put a new post !!!!

No comments:

Post a Comment