Saturday, April 21, 2012

Kunal Chopra's diary 19th April 2012- Dont ever let me see you cry

Kunal Chopra's diary - 19th March, 2012

Dont ever let me see you down, coz that would put a tear to me, Smile an ever lasting
 
Siddhi kabhi muskurati bhi hai ?
Aur muskurate hue itni khubsoorat lagti hai ?
Agar insaan ka man saaf ho to, uski hansi uski aankhon mein utar aati hai
Aaj uske chehre par jaise uski maasomiyat jhalak rahi thi
Uski ek muskan dil ko khush kar deti hai aur uske aanson man ko kamzor
Kuch aisa hi rishta jud gaya hai uske saath
Kya aisa ho sakta hai, hum hamesha yuhi muskurate rahe, 
Gum ho ya khushi, hamesha ek doosre ke saath rahe

(Waise, main bhi aajkal kuch jyada hi muskurane laga hoon..shayad Siddhi par meri sangat ka asar hai ...)


Roothna Manana
Jab tak thodi ched chad ya roothna manana na ho to zindagi mein maza hi kya hai
Aur fir roothne ka maza to tabhi hai jab koi manaye !!!

Here is a copy paste :)
Aapke paon dekhe, bahut haseen hai, inhe zameen par mat rakhiye, maile ho jayenge

Aapki aankhein dekhe, bahut nasheele hai, inhe apni zulfon se mat dhakiye warna hum jeena bhul jayenge :)

Un aankhon mein kabhi apne liye ek begana pan dekha tha
Aaj unme apna pan tha
Un aankhon mein hamesha aanson hi dekhe the
Aaj shayad unme ek chamak thi
Shayad aaj un aankhon mein mujhe apne sapne nazar aa rahe the
Un kuch hi palon mein apni aane wali zindagi ki jaise jhalak dekh li thi maine
Aur shayad kuch palon ko aaj maine jee liya tha
Shayad isliye ek ajeeb sa sukun tha meri aankhon mein
Ek ajeeb se khushi, ek ajeeb si khamoshi
Khamoshi jisme aankhen shayad kuch bol rahee thi

Siddhi's diary-
If Siddhi has to say something, she would just say

Roothe roothe piya, manaou kaise !!!
Umar mein to mujhse bade hai, magar harkatein bacho jaise
Baat baat mein rooth jate hai...

Aur kya kahoon,
Jab zindagi khwabon se jyada sundar ho jaye
Jab khamoshi suron se jyada surili ho jaye
To nazarein khud ba khud jhuk jati hai !!!

The first time I saw the hay scene, I was like OMG, another staring session and did an FF, But glad I rewinded to see it again and I pardon the cliched scene, just for their acting..both were good and the smile kya kehna :)

No comments:

Post a Comment