Rockstar's diary update 15th March, 2012- If only it were so easy to understand the human emotions
Kabhi kabhar apna gussa mujhe khud samajh nahi aata
aur mera pyaar doosro ko samajh nahi aata hai
I think I have slowly come to learn that anger is not a good emotion to have, it can turn a victory into a defeat. With that the realisation has come that I myself don't or am unable to understand what I am going through, why I behave the way I do.
Aur mera pyaar doosro ko samajh nahi aata-
kya main yeh siddhi se keh raha tha ? Shayad haa, isliye meri nazarein jhuki hui thi.
kya main chahta hoon ki log mujhe samajh sake, ya main chahta hoon khud ko badlna, doosro ke liye
kya main yeh kehna chahta hoon, ki jaise bhi jataya jaye, pyaar to pa..hi hai
Insaano ko samjhna agar aasan hota to zindagi bhi shayad asan hoti
jab insaan khud ki bhavnao ko hi nahi samajh sakta hai to fir
doosro ko kaise samjhega
shayad unhe samjhne ki nahi sirf mehsoos karne ki jaroorat hai
kabhi kabhi sahi galat se jyada, khud ka man kya kehta hai woh sunna jyada jaroori hai
I know its a small diary today, but the mood is upbeat, and I dont want to add mumbo jumbo hifi words..so am calling it a day today..
There is some additional couplet- I know it will come haunting me tomorrow, because this suits tomorrow's episode but this is Kunal and my state of mind
Ek woh samay tha jab hum sare darwaze khol, khushiyon ka intezaar karte the
aur aaj, khushiyan band darwaze par bhi dastak de rahee hai
ek woh samay tha, jab chaaron joker ke bawjood hum haar jate the
aur aaj, zindagi joker ban hume jeeta rahe hai
ek woh samay tha, jab khushiya hume ansoon de jaya karti thi
aur aaj, zindagi mein gum bhi aate hai to khushiyon ki tarah
ek woh samay tha, jab chand ki chandni bhi aankhon ko jala diya karti thi
aur aaj, suraj humse nazarein churata hai
ek woh samay tha, jab zindagi berang ho chuki thi
aur aaj zindagi khud hame rangne aayee hai
jab dono hi ek doosre ke rang mein rang gaye hai, to pehle kaun kabool karta hai isse farak nahi padna chahiye shayad
No comments:
Post a Comment