Saturday, May 19, 2012

Kunal Chopra's diary -17th May 2012 Ek Aur Syapa

Kunal Chopra's diary - 17th May 2012- Hanste Khelte, Rootne Manane Mein Zindagi Guzar Jayegi

Pagdi bandh rahe thi ya
Topi pehna gayee mujhe

Jhagda chahey kitne dino tak ho
Aur kisi bhi wajah se hua ho,
Khatam karne ke liye ek muskurahat hi kafi hoti hai
Itni masumiyat se koi aapko manaye
Itni pyari si muskan ho
Aur aankhon mein ho pyar
To kaise narazgi, aur kisse narazgi
kisliye aur kitne dino tak
Shayad meri narazgi to bus dikhawe ke liye hi thi !!!

Gaurav ke baare mein bolne ke liye kuch baki hi nahi hai

Ek pal mein is ghar ki sari khushiya hi bikhar gayee
Ab kya hoga seema ka, anokhi, ishani

Ek taraf shilpa ki shadi ho rahe the
Aur doosri taraf mere bhai ki shaadi toot rahe the
Ek taraf to naye rishte jud rahe the
Aur doosri taraf kuch log purane rishte tod rahe the
Kya rishte waqai itne kamjor hote hai
Ek hi pal mein saalon ka rishta tod diya
Rishte judte rasmo se hai
Magar shayad nibhane mein umar lag jati hai
In sab ke beech siddhi aur mera rishta
Mujhe khush hona chahiye ki siddhi meri patni hai
Magar kya siddhi bhi yeh keh sakti hai
Sahi hone par bhi maine kyon uss par vishwas nahi kiya
Aur mere galat hone par bhi use mujhse koi shikayat kyon nahi hui
Kyon mujhe manati rahee woh



Just want to add, Ek aur syapa- ab shadi kare hai to syapa to hoga hi na..abhi to shuruat hai !


No comments:

Post a Comment