Kunal Chopra's diary 14th May 2012- Silence is Golden
Kai baar insaan bahut kuch keh kar bhi kuch nahi kehta hai
aur kai baar bina kuch kahe bhi bahut kuch keh deta hai
meri khamoshi bhi shayad kuch keh rahe thi
mujhe naaraz hona chahiye tha, magar kis par aur kis liye
tum par, ki tumne mujhse sach chupaya
ya fir khud par ki main tumhe samajh nahi paya
tum par, ki log hum par ungli uthate rahe aur main kuch nahi kar paya
ya fir khud par ki main khamosh khada sabh ki baatein sun raha tha
tum par, ki tum ne mujhe kitna bebas kar diya hai
ya khud par ki chah kar bhi main tumse naaraz nahi reh sakta hoon

No comments:
Post a Comment