Friday, April 6, 2012

Kunal Chopra's Diary - 5 April 2012- Siddhi in hospital

I am just a girl, standing in front of a boy asking him to ...
This line from Notting Hill comes to my mind when I look at Siddhi
 
What were Siddhi's thoughts since she was kidnapped to the time she was shot
 
Kya unhone mujhe miss kiya hoga
Itna to daant liya aapne, ab to muskura dijiye
Kya apne mujhe miss kiya
Kunal, mujhe kuch ho gaya to tum
 
Yes, I have over looked the dialogue which all liked, inka pyaar mujhe mil gaya ab mujhe kuch nahi chahiye..I think it was filmy..so I choose to pass it Wink
 
All her thoughts were around Kunal only, no wonder, the first name that came to her mind when she woke up was Kunal, to know if he was safe and if he was worried for her safety. She already knows about his feelings, but still she wants to hear it from him.
This from a girl, who likes to watch soapy movies, cry over them and then write poems.
 
Har kitab ke ant mein likha hota tha, and they lived happily ever after
Main jab bhi koi kitaab kharida karti thi, to sab se pehle uski ending padha karti thi,
Aur wahi kitaabein padhti thi, jin mein likha hota tha, happily ever after
Man mein kai tarah ke khwab aur umeedein bhand rakhi thi, ki meri zindagi bhi aise hi hogi
Sirf khushiya, apno ka saath aur aankhon mein sapne
Ankhein band kar socha karti thi, kya aisa ho sakta hai,
ki main to apni jagah par hi hoon magar yeh zameen chal rahe ho
itni khushiya mile ki khud par guman ho jaye
itni muskuraahate mile ki aankhe chalakh pade
ki itna apna pan mile ki bhagwan ka shukriya ada karne ka man ho
Kabhi lagta yeh to kisse kahaniyon ki baatein hai, bhala sach thodi hoti hai
Kabhi sher o shayari aur kavitaon ke jariye apne khwabon ko shabdon mein dhaalne ki koshish karti
Kabhi khuli aankhon se sapne dekhti
Aur khud ko yeh yakeen dilane ki koshish karti
Ke khwab hai to woh pure bhi honge
 
Aap se milne aur aapko samjhne ke baad laga
shayad meri zindagi bhi happily ever after ho sakti hai..sorry couldnt find a line to gel Cry
 
Itna to daat liya, ab to muskura dijiye
I wish I could write something new on the smile..but have written once..and can't think of anything different
(Will copy a few lines from that..)
 
When I see you smiling,
I forget all my troubles,
Nothing else matters,
Life seems worth living.
When I see you smiling,
 
Kunal, mujhe kuch ho gaya to tum
kitni hi baatein hai jo main aapse kehna chahti thi
aise kitne hi sapne dekhe the hamare aane wal kal ke liye
ab itni baatein ek hi pal mein kaise keh doon
puri zindagi ke khwab ek hi pal mein kaise keh doon
saari zindagi ek hi pal mein kaise jee loon
saara pr ek hi pal mein kaise bayan kar doo
puri zindagi samet kar ek hi pal mein kaise jee loon
fir bhi, zindagi ne yeh ek pal diya hai
isi pal mein kuch khushiya jee lena chahti hoon
 
(it is tending to get similar to songs/line..yeh lamha jee lene de)
 
Us pal, kai khayal man mein aa ja rahe the,
thodi rahat thi ki aap thik hai
magar thodi bechaini thi, ki aage kya hoga
kya zindagi mein itne hi pal likhe the
kya main aapke saath kuch aur pal jee sakongi
kya main fir se aankhein khol yeh duniya dekh paongi
kya agli baar aankhein jab khulengi to aap samne honge
kya zindagi waise hi hogi jaisa socha tha
kya hoga
bahut se sawal the, magar jawab paass nahi the
 
Jab aankhein khuli to aapko hi talash kar rahe thee
Pata nahi kis baat ki jyada khushi thi
Apni zindagi ki
Ya aapke saath zindagi gujarne ki

No comments:

Post a Comment