Wednesday, March 28, 2012

Kunal Chopra's diary- 28th March 2012-Kuch Saaman aur Kuch Yaadein Nishani hai

Kunal Chopra's diary- 28th March, 2012- Insaan ke pass na hone par, cheezein hi nishani ban kar reh jati hai

Aise to insaan ke aage saaman ki kya ahemiyat
Insaan hai to cheezein aur bhi aa jayengi
Magar jab wahi insaan pass nahi hota hai to uski har cheez kitni ahem ho jati hai
Un cheezon se judi yaadein un mamooli cheezon ko keemti bana deti hai
Shayad insaan in cheezon ke jariye khud ko beete kal se jode rakhne ki koshish karta hai
Yaadein fir bhi dhoondli pad sakti hai, magar cheezein shayad hame ateet se jode rakhti hai

Siddhi mere pass hai, kimat hai woh CD jisme tumhari begunahi ka saboot hai
Faisla tumhe karna hai

Isme sochne ki ya chunne ki koi gunjaish hi nahi thi
Ek pal nahi laga mujhe yeh faisla lene mein ki kis ki jyada ahemiyat hai
Meri rihaai ya uski zindagi
Court mein case shayad kisi aur tarah se bhi jeeta ja sakta hai
Magar Siddhi ki zindagi bachane ka shayad ab aur koi raasta baki nahi tha
Kya waqai faisla mere haath mein tha
Kya waqai CD lautane se Siddhi sahi salamat wapis aa jayegi
Jaise jaise samay beet raha tha, uske wapis aane ki aas kam hoti jaa rahe thi
Aur utni hi meri lachari bhi bhad rahi thi
Aaj uske itna kareeb hone ke bawjood niraasha hi haath lagi thi
Shayad mere ek aur rishte ka imtihaan hai
Dekhna hai, rishta bachta hai ya main use bhi kho dunga auron ki tarah

Kapil ne kahan ki meri galatiyon ki saza Siddhi bhugat rahee hai
Saari galtiyan aap kare aur saza Siddhi ko mile
Waise yeh sahi to nahi hai, ki meri galtiyon ki saza use mile
Magar shayad use saza hi isliye mil rahe thi ki woh ab mujhse jud chuki thi
Kya yeh meri galti hai ki Richa se kabhi mera rishta tha
Hum apne har rishte ko nahi chunte hai, kuch rishte hume chunte hai
Kya maine kum keemat chukayi hai Richa se rishta rakhne ki
Ab jab Siddhi mujhse jud gayee hai to meri har jane anjane mein ki galatiyon ki keemat use bhi ada karni pad rahe thi  

Lekin shayad yeh sab Kapil nahi, Siddhi ka bada bhai bol raha tha
uski pareshani bol rahe thi,
Woh mujhpar ilzaam par ilzaam laga raha tha magar ek dayare mein reh kar,
Baar baar, woh mujhe aap, Kunal ji keh raha tha
Rishton ki ahemiyat bhule nahi the

-Thats all for today..lets see when the kidnapping saga ends ....

No comments:

Post a Comment