Wednesday, June 6, 2012

Editor's Note-6 June

There may not be updates for a long time to come, if you wish, you can visit the diary pages for March12.
Thank you for visiting my blog !!!

Tuesday, May 29, 2012

Kunal Chopra's diary 28th May 12- Rain is falling chamacham cham

Kunal Chopra's diary 28th May 2012-Its a bad title, but well, what better weather than Baarish

Yes, another post for 28th May :)

Kya baarish itni hi khubsoorat lagti agar iska rang safed nahi kuch aur hota
Kya yeh zindagi itni hi khubsoorat hoti agar tumhara saath nahi hota
Kya yeh raat itni hi roshan hoti agar yeh chand na hota
Kya yeh aasman itna hi chamkta agar sitare na hote
Kya yeh dil itna hi shayarana hota agar tum na hote [I just laughed out loud while writing this filmy line]

Kya kabhi khidki par baithkar baarish ki boondo ko apne haathon mein lene ki koshish kari hai
Kabhi un boondon ki aawaaz ko sunne ki koshish kari hai
tap tap tapkti boondon mein ek sangeet hota hai, ek sukoon hota hai
ek ek boond jaise aankhon par, chehre par padti hai to ek khushi, ek sukoon ka ehsaas hota hai
kaise bade bhi bache ban jate hai
un boondon mein waqai koi jaadu hota hai
jo rote hue logon ko bhi hansa deti hai

[Pl dekh kar copy karna ;)..somethings are better here only]

Monday, May 28, 2012

Kunal Chopra's diary -28th May 2012- jaise zindagi keh rahee thi, fir se muskura le zara

Kunal Chopra's diary - 28th May 2012 - Aisa lag raha tha, jaise siddhi nahi, zindagi mujhe baahein felaya bula rahe thi

Jab man itna pyaar ho
to woh to bahar nazar ayega hi
Jab man mein bahut saari khushiya ho
to woh to chehre par chalkegi hi
Jab chehre par itni khushiya ho
to shayari to banti hai :)

Yehi hai meri choti si duniya
Jisme paise shayad bahut kam hai
Magar khushiya bahut saari
Jisme mushkilen to kai hai
Magar unse ladne ka honsla bhi
Jisme agar dushmano ki kami nahi hai
To apno ke pyar ki kami bhi nahi
Jisme kisi au ke liye koi jagah nahi hai

Baarish
kabhi aasman se girti baarish ki boondon ko haathon mein pakdne ki koshish kari hai
kitni hi koshish karo, boondein to haaton se girti jaati hai
khushiyon ka aur meri zindagi ka bhi aisa hi naata tha
kitni hi koshish karo, pal bhar baad haaton se fisal jati thi
jab jab baarish hoti, to ghanto khidki se bahar jhakta rehta
kabhi un boondon ko pakdne ki koshish karta to kabhi apni zindagi ke beetein palon ko mitane ki koshish karta
aaj baarish mein un boondon ko haathon mein lekar yu laga
jaise zindagi bhi baarish mein tapkti un boondon ki tarah hai
har boond ka apna ek alag hi maza hai
har boond mein ek naya ehsaas ek nayee khushi
insaan chahe to har boond mein ek naye ehsaas ko jee le
har boond ke saath kai sapne dekh le
har boond ke saath zindagi ka ek pal jee le


Siddhi-

Yahi samay tha, pichle saal
jab hum do ajnabi the jinhe haalaton ne jod diya tha
do ajnabi jo duniya ka dastoor nibha rahe the
pichle saal to party bhi thi
ek bada sa cake tha
bahut saare rishtedaar the hamari khushiya manane ke liye
magar aaj na to party thi, na bada cake
na rishtedaaar
aaj to sirf chand ki chandni aur sitaron ki roshni thi
ek chota sa cake tha
na jane kyon magar aaj mere chehre par dikhawe ki khushi nahi thi.



[Aaj to heading dena hi mushkil hai & probably I am repeating myself- at times I also can't remember what I had written and probably it is no comparison to the episode..I cant write !!!]

Saturday, May 26, 2012

Kunal Chopra's diary 25th May 2012- Tum ho to

Kunal Chopra's diary- Tum ho to hai sab haasil

I wonder if I have already written on this topic, because it is a cliched dialogue and also a cliched feeling which Kunal said and expressed :)

Jab jab manzil dhoondli hoti nazar aye
Tumhari nazaron mein ek naya sapna nazar aya
Jab jab kadam thak kar rukne lage
tumhare saath ne chalna sikhaya
Jab jab dil ne haar manna chaha
tab tab tumne kahan bus kuch kadam aur
Ab jab piche mud kar dekhta hoon to nazar ata hai
mere un ruke ruke, thake hue kadamno ne ek jahan hi hansil kar liya hai

Manzil door ho,
raasta mushkil ho
kadam thake hue ho

Magar har kadam par koi saath ho to
Insaan ek din manzil paa hi leta hai

[I hope the coming weeks are good, else writing is going to be tough, negativity and negative thoughts truly suck up your mind, one needs to be careful of what one reads, writes, talks and hears..stay away from negative thoughts]

Wednesday, May 23, 2012

Kunal Chopra's diary 23rd May 2012- Ek simple sa kala khatta bhi kick deta hai

Kunal Chopra's diary - 23rd May 2012- Kala Khatta Costing 20 Rs only, for everything else there is master card..

Truly a master card cannot help pay for your batata vada or kala khatta.

Just a day back I was listening to a song, ' tere sang ek simple se coffee' and here we have a kala khatta scene- simple kala khatta. They are just hand picking the mumbai street delicacies into the story.

Richa ko mujhe se jyada uska life style pyara tha
use mujhse jyada woh bangla aur gaadi pyara tha
Kash woh samajh pati
Kash woh dekh pati
Kash woh mehsoos kar pati
Ki khushi gaadi ke model mein nahi hai
Khushi five star restaurant meini nahi hai
Khushi to saath chalne wale se hai
Khushi to saath mein kaun hai usse hai, restaurant se nahi

Wapis ghar aate waqt, kuch door hum dono bus khamoshi se chale jaa rahe the
Hum dono hi kuch soch rahe the
Na woh janti thi ki main kya soch raha hoon
Aur na main janta tha ki uske man mein kya chal raha hai
Magar fir bhi hum dono hi muskura rahe the
Pata nahi kya soch kar
Pata nahi kis baat ko yaad kar ke
Pata nahi kaunsa sapne dekh kar
Magar us khamoshi mein bhi khushi thi

Kuch palon ke liye woh bachpan fir se laut aya tha
Woh chuskiya le kar gola chusna
Bhaiya ji se aur sharbat dalwana
Ek doosre mein se kala khatta khana
Kuch cheezein fir se bachpan mein le jati hai hume

Wondering, who wants to grow up !!!

(I have tried to not repeat myself - because the scene is very similar to the batata vada episode and lo and behold I just realised that I had mentioned kala khatta in that post..no wonder they stole the idea from there..:P

The joys are not in the big things,
but in the small things,
the joy is in eating a vada pav from a road side vendor,
the joy is in that kala khatta and not the cocktail
the joy is in eating the warm corn at the beach when it is raining
the joy is in walking in the rain
the joy is in a train ride

Whose stealing my ideas : P )

If at all someone is stealing...please show us some scenes of a rainy day in Mumbai, near the queen's necklace or maybe Powai Lake is equally good :P

Tuesday, May 22, 2012

Kunal Chopra's diary - 22nd May 2012- Tu Muskura Jahan Bhi Hai

Kunal Chopra's diary 22nd May 2012- Tum muskurati ho to main bhi kuch pal apne gum bhul jata hoon

Muskhile jab aati hai to har taraf se aati hai
Rent chukana hai
Job bhi shayad nahi hai
Aur Seema aur bacho ki jimmedari bhi hai
In muskhilon mein bhi tumhara saath hi mera sabse bada sahara hai
Tumhari muskurahat hi meri taqat
Tumhara saath hi mera honsla
Jab insaan ka ek rishta tootne lagta hai to uska rishto par se vishwas bhi uthne lagta hai
Seema aur Gaurav ko dekh ek pal ghabrahat bhi hoti hai
Magar ek vishwas bhi hai ki hamara rishta kabhi nahi totega


Zindagi mein gum to har mod par mil hi jata hai
Magar khushiya to insaan ko khud hi dhoondni padti hai
Dukh to har kone mein mil jate hai
Magar muskurahtein to kisi kone mein kisi jharoke mein chupi hoti hai
Saanse to har pal chalti rehti hai
Magar zindagi to un kuch lamho mein jeeti hai
Unhi lamho ko churane ki koshish hai

Some lines are cliched and oft repeated by everyone [ implying some lines today are not original I think, atleast in the gist ] 

And, galtiyan dhondoge to har jagah galtiya hi milegi, kya dhondna chahte ho, galtiya ya khubiyan

Monday, May 21, 2012

Kunal Chopra's diary -21st May 2012- Parvarish

Kunal Chopra's diary 21st May 2012 - Parvarish paiso se nahi hoti hai

Parvarish paison se nahi parivar se hoti hai
Agar paison se hi sanskar mil jate to
Sab amiron ke bache layak hote
Aur agar paison se hi sanskar milte to
Gaurav shayad aisa nahi hota


Seema mujhse kehti rahee,
Kunal bhaiya unko rok lijiye
kisko rokta main
kis haq se rokta
aur kaise rokta
Woh ruk bhi jata to kya hota
Gaurav to woh gaurav hai hi nahi
Na woh tumhara pati hai
Na anokhi ishani ka pita aur
Na mera bhai
Aur kya woh ruk jata
Aur rukne se kya sab thik ho jata

Bache agar layak ho to maa baap ka gaurav ban jate hai
Aur agar na layak hue to maa baap duniya ke taane ko shikaar ban jate hai
Seema ke papa jo keh rahe the, hume khamosh sar jhukaye sunna pada
Seema ko dekh kar yahi laga, ki mata pita ko na chahte hue bhi apne bacho ke liye apne adarsh aur usool todne padte hai
Na chahte hue bhi duniya dari nibhani padti hai
Na chahte hue bhi zindagi mein samjhote karne padte
Shayad mujhe bhi apne usoolon ke saath samjhota karna pade, mere parivar ke liye

Main abhi tak mara nahi hoon-
Paanch saal pehle jab maine kaam karna band kar diya to
Woh zindagi se haar kar nahi
Balki isliye ki zindagi se koi moh hi nahi tha
Na koi sapna tha na koi chah thi
Na jeene ke koi wajah
Magar ab, ab mera parivar hai
Siddhi hai, aur anokhi ishani
Insaan agar chahe to kuch bhi kar sakta hai
Magar chah na ho to manzil ke raaste bhi nazar nahi aate
Magar ab chah bhi hai aur honsala bhi
To kisi na kisi manzil par to yeh zindagi pahuch hi jayegi.