Kunal's diary 2nd March 2012 (First day of Siddhi in the court)
Main tumhe kaise haarne deta
Aaj hamare case ka pehla din tha, pehli baar jab Siddhi Thakral ke saamne case ladne wali thi. Imtihaan sirf uska nahi tha, mera bhi tha. Aur itna kehna kafi hoga ki aaj ka din hum dono ke liye acha nahi tha.
Pata nahi aaj us santwana ki kise sabse jyada jaroorat thi, tumhe jo aaj apne pati ka mukadamma ladne se pehle hi haar maan chuki thi ya mujhe jo us mujrim ke katghare mein lachar khada apni patni ko beizzat hote dekh raha tha.
Main tumhe kaise haarne de sakta hoon,
shayad tumhi ek ho jo mere liye sab se lad rahe hai,
jo mere liye mujhse bhi ladne ke liye tayar hai
jo mere liye ladte ladte thak to sakti hai, magar haar nahi maan sakti hai
jo apna sab kuch khone ke liye tayar hai, mujhe jeetane ke liye
jo aaj ladne se pehle honsla khone lagi hai
Ab se, jab bhi tum mayoos hogi, mujhe apne aas paas hi paogi
Main yeh wada to nahi kar sakta ki tumhe har pal khushiyan hi milegi, magar itna wada kar sakta hoon, ki tumhare dukh mein tumhara saath doonga
Main yeh wada to nahi kar sakta ki tumhara har khwab pura hoga, magar itna wada kar sakta hoon, ki tumhare toote hue khwabon ko samet kar naye khwab bunne mein madad karonga
Main yeh wada to nahi kar sakta ki har samay sukhon ki baarish hogi, magar itna wada kar sakta hoon ki dhoop mein tumhara saath nahi chodunga
And finally, thank you for fighting for me. Aaj se har ladai mein main tumhare saath hoon.
(Thank you all for reading and appreciating my posts !)
No comments:
Post a Comment