(this will mostly be in hindi only)- I would like to apologise to the few people who cant read hindi..but after having written few posts in hindi i have realised, the words in hindi convey a lot more meaning..over the weekend if i can i will try to translate, just to give an example..in the serial, i dont know what is the charm for the word feeling, meri feelings..until now only siddhi used to use the word feeling, now even kunal..it gives such a dry feeling, and compare that to hindi..main jo mehsoos..so i chose mehsoos any day..hence apologies again this is in hindi please..sorry friends..
Tum pehli hi hearing mein case harwaogi- to kya mujhe umeed hai jeetne ki ? shayad main khudh bhi janta hoon ki in haalaton mein agar koi mere liye lad sakta hai to woh Siddhi hi hai.
Uske sawalon ne mujhe pareshan kar diya tha, Mr Chopra, main aapko kuch bhi puch saktee hoon, aur apko sab sawalon ka jawab dena hoga. fir kya hua, aap uske kamre mein gaye, aap uske kareeb the ya woh aapke kareeb..in sawalon ne mujhe pareshan..
Insaan auron se to lad sakta hai, duniya se bhi lad sakta hai, magar apne aap se shayad jyada der tak nahi lad sakta.
kai baar aisa hota hai, ki hamara man kisi baat ko samjhta hai magar dimag usse mannana nahi chahta hai
aur hum us baat se, insaan se chahe jitna bhi bhagne ki koshish kare, man hume wahi kheech leta hai
shayad isliye, jo baat maine kabhi apne aap se nahi kari mere man ne keh di ki main siddhi ko pasand karta hoon
shayad isliye,
usse chahe kitna bhi naaraz ho jaon, man to uski khushi hi chahta hai
usse kitna bhi nazarein churaon, man to har jagah use hi talashta hai
chahe usse kitna bhi naaraz ho jaon, man to yahi chahta hai ki woh mujhe mana le
chahe main kuch keh paaon ya nahi, man to yahi chahta hai ki woh mujhe samjhe le
chahe umeed ko koi kiran bhi naho, man to fir bhi use pana chahta hai
uski khushi chahta hai, magar deta sirf dukh hi hai
aisa kyon hota hai ki jo baat insaan ka man samjhta hai use mannane mein itna samay lag jata hai
aisa kyon hota hai ki jo baat aap kehna chahte hai woh zubaan tak aa hi nahi pati ?
ek pal ke liye hamaree nazarein mili,
un aankhon mein na jana kaise dard tha jo meri aankhon mein utar aya tha
woh aankhein jaise meri aankhon mein kuch dhoondh rahe thee
shayad umeed ki ek kiran ki kuch hi door ujala hai
shayad in mushkil ke palon mein ek sahara
tabhi maine apni nazarein fer li, kahi use in aankhon mein apne liye pyaar na nazar aa jaye
(these are my thoughts-
agle hi pal mujhe pata chala ki main richa ke bahut kareeb baitha hoon aur ...
main kyon apne man ki baat sunkar itna hairan hoon--
Kunal ne ek din apne papa se pucha, papa kya aap bata sakte hai, ek ache pati patni ka rishta kaisa hota hai, achi shaadi kise kehte hai.., pati patni ko aapas mein kaise rehna chahiye?
Papa ne kahan, tu sach mein jaanana chahta hai?
Mujhe pata nahi tu meri baat ka yakeen karega ya nahi, magar, ek ache pati patni, ek apne pan ka rishta woh hai jo tera aur siddhi ka hai. Jo tumhara rishta hai usse acha koi rishta to ho hi nahi sakta.
Main khud kabhi samajh nahi paonga ki woh kya lamha tha, aur shayad tum samajh bhi nahi paogi- Trying to explain your feelings or decipher them is a futile excercise..no one can succeed in them. i can think of the song, its only words and words are all i have to take your heart away. Words can only do some justice..but not fully explain what you feel..so stop trying to analyse them
I hope this one appeals to all..Thanks.
No comments:
Post a Comment