Rockstar's diary -8th March-If Tomorrow Comes
Score of the case, since Siddhi donned the black coat
Day 1
Kunal zero
Siddhi minus
Thakral and Sons 1
Day 2
Kunal 100
Siddhi 200
Thakral and Sons -200
The score sums up the proceedings of the 2nd day in court (if I am not wrong, it is the 2nd day only and not the 3rd ...wrong/right ??)
Jis Thakral ke saamne khade hokar log case ladne se tak inkar kar dete hai, aaj use hi Siddhi ne gawah ke katgarah mein laa khada kar diya tha. Kabhi kabhi sochta hoon, ki kya wakai yeh kamjor hai, kya wakai ise mere sahare ki jaroorat hai? Kahi woh jaan bhuj kar galtiyan to nahi karti jisse main HERO ban saku (O well, this is me just pulling a fast one on Kunal )
Aaj Siddhi ne Richa se hamare beete kal ke baare mein kai sawal kiye
tum Kunal se kab mili
tum kunal se kabse pyar karti thi
kunal ko likhe love letters
kunal se break up
kunal ke liye apni mangni todna
kunal ki shaadi
Kunal Richa, Richa Kunal- yahi naam adalat mein gunj rahe the, ek naam jisse main hamesha khud ko jodna chahta tha, magar aaj yahi naam jaise koi mayne hi nahi rakhta tha.
Aaj tak jab bhi un beete lamho ko yaad karta tha to man udaas ho jata
kabhi un haseen palon ko yaad kar ankhen chamak uthi aur kabhi
woh beetein panch saal yaad kar aankhen bhar jati
kabhi un beeton palon ko bhulne ki koshish karta to kabhi
un beeton palon ke dobara laut aane ki umeed karta
kabhi woh saath guzare waqt ko fir se jeene ki koshish karta to kabhi
woh ekaki beetaye samay ko bhul jane ki koshish karta
kabhi richa ko kosta mera dil todne ke liye aur kabhi
kudh ko kosta richa ko yaad karne ke liye
magar aaj, aaj jaise woh beete pal, woh lamhe, Richa, shayad koi mayne nahi rakte the
Woh mera ek guzra hua kal hai, jisse main apne aane wal kal se door rakhna chahta hoon
Woh mere zindagi ka kadwa sach hai, jise maine kabul kar liya hai
Ek atit ka aisa pal jiska waqt khatam ho chuka hai
Shayad un chey saalon ne mujhe apne aaj ki ehmiyat ka ehsaas kara diya hai
Main kya tha aur ab kya maine paa liya hai iska parichay shayad ho gaya hai mujhe..
This is the end of Richa for me
PS-I am not sure whether Kunal really felt the same..probably these are my thoughts
No comments:
Post a Comment